agarche usne nazar meri samt sarsari ki
agarche usne nazar meri samt sarsari ki
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
agarche us ne nazar mirī samt sarsarī kī
tū jāntā hī nahīñ ḳhushī kyā hai us ghaḌī kī
mujhe mayassar na aaj tū hai na koī dīgar
nahīñ koī intihā mire yaar bebasī kī
koī bhī lau ko nisār karnā na chāhtā thā
sabhī charāġhoñ se kal aziyyat meñ baat bhī kī
use bhī andher-nagriyoñ kā junūñ chaḌhā hai
mujhe bhī mahfil udaas kartī hai raushnī kī
hazār shahroñ se ho ke guzre haiñ lekin ab bhī
kamī to mahsūs hotī rahtī hai us galī kī
maiñ apnī duniyā meñ mast-o-be-fikr so rahā huuñ
ḳhabar nahīñ hai mujhe kisī bhī ḳhushī ġhamī kī
agar vo aaya to ḳhud hī sāhil umaD paḌeñge
rukī huī naav paar ho jā.egī sabhī kī
agarche us ne nazar meri samt sarsari ki
tu jaanta hi nahin KHushi kya hai us ghaDi ki
mujhe mayassar na aaj tu hai na koi digar
nahin koi intiha mere yar bebasi ki
koi bhi lau ko nisar karna na chahta tha
sabhi charaghon se kal aziyyat mein baat bhi ki
use bhi andher-nagriyon ka junun chaDha hai
mujhe bhi mahfil udas karti hai raushni ki
hazar shahron se ho ke guzre hain lekin ab bhi
kami to mahsus hoti rahti hai us gali ki
main apni duniya mein mast-o-be-fikr so raha hun
KHabar nahin hai mujhe kisi bhi KHushi ghami ki
agar wo aaya to KHud hi sahil umaD paDenge
ruki hui naw par ho jaegi sabhi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.