agarche wo bahut achchha nahin hai
agarche vo bahut achchhā nahīñ hai
magar koī bhī us jaisā nahīñ hai
kisī kā ho na ho ye us kī marzī
magar tai hai ki vo merā nahīñ hai
huuñ yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ shāmil
agarche jeb meñ dhelā nahīñ hai
maiñ jab chāhūñ use mahsūs kar luuñ
bichhaḌne kā koī ḳhadsha nahīñ hai
judā.ī kī haqīqat se hai vāqif
ye dil merā koī bachcha nahīñ hai
na-jāne kitne barsoñ se mirī jaañ
tirī qurbat kā pal guzrā nahīñ hai
mujhe 'gulfām' duniyā jāntī hai
magar us ne kabhī jaanā nahīñ hai
agarche wo bahut achchha nahin hai
magar koi bhi us jaisa nahin hai
kisi ka ho na ho ye us ki marzi
magar tai hai ki wo mera nahin hai
hun yusuf ke KHaridaron mein shamil
agarche jeb mein dhela nahin hai
main jab chahun use mahsus kar lun
bichhaDne ka koi KHadsha nahin hai
judai ki haqiqat se hai waqif
ye dil mera koi bachcha nahin hai
na-jaane kitne barson se meri jaan
teri qurbat ka pal guzra nahin hai
mujhe 'gulfam' duniya jaanti hai
magar us ne kabhi jaana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.