aghyar the jo mere siyane lage mujhe
aġhyār the jo mere siyāne lage mujhe
āñkhoñ meñ bhar ke ashk dikhāne lage mujhe
marte the merī 'aam sī bhī guftugū pe jo
sab kuchh ġhalat kahā ye batāne lage mujhe
mujh se bichhaḌ ke us ne banā.ī raqīb se
is tarz-e-be-ruḳhī se satāne lage mujhe
jo mere ham-nashīñ ne mujhe ḳhaas kar diye
un zaḳhmoñ se ubharte zamāne lage mujhe
har ik ne purza-purza mirā joḌ kar diyā
phir mil ke saath aag lagāne lage mujhe
aghyar the jo mere siyane lage mujhe
aankhon mein bhar ke ashk dikhane lage mujhe
marte the meri 'am si bhi guftugu pe jo
sab kuchh ghalat kaha ye batane lage mujhe
mujh se bichhaD ke us ne banai raqib se
is tarz-e-be-ruKHi se satane lage mujhe
jo mere ham-nashin ne mujhe KHas kar diye
un zaKHmon se ubharte zamane lage mujhe
har ek ne purza-purza mera joD kar diya
phir mil ke sath aag lagane lage mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.