ahbab hain kyun dang mujhe hi nahin malum
ahbāb haiñ kyuuñ dañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
kis se hai mirī jañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
tābānī-e-jazbāt meñ aa.ī hai kamī kyā
phīkā hai kyuuñ har rañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
muddat se maiñ jo daaġh miTāne meñ lagā huuñ
kahte haiñ use zañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
din raat yuuñ kartā hai mujhe kaun muqayyad
kyuuñ kar hai zamīñ tañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
ab kaun mire sar ko banātā hai nishāna
kis haath meñ hai sañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
har lafz kā mafhūm badal jaatā hai 'rāhat'
kaisī hai ye farhañg mujhe hī nahīñ ma.alūm
ahbab hain kyun dang mujhe hi nahin malum
kis se hai meri jang mujhe hi nahin malum
tabani-e-jazbaat mein aai hai kami kya
phika hai kyun har rang mujhe hi nahin malum
muddat se main jo dagh miTane mein laga hun
kahte hain use zang mujhe hi nahin malum
din raat yun karta hai mujhe kaun muqayyad
kyun kar hai zamin tang mujhe hi nahin malum
ab kaun mere sar ko banata hai nishana
kis hath mein hai sang mujhe hi nahin malum
har lafz ka mafhum badal jata hai 'rahat'
kaisi hai ye farhang mujhe hi nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.