ahbab ko mail-ba-jafa dekh rahe hain
ahbāb ko mā.il-ba-jafā dekh rahe haiñ
kyā dekhne ham aa.e the kyā dekh rahe haiñ
allāh re ma.asūmī-e-arbāb-e-tamanna
patthar ke ḳhudāoñ meñ vafā dekh rahe haiñ
begāna-ravī tum pe hī mauqūf nahīñ hai
ham jism se saa.e ko judā dekh rahe haiñ
tablīġh jo karte haiñ zamāne meñ vafā kī
un kā bhī ham andāz-e-vafā dekh rahe haiñ
haiñ pairvī-e-ḳhizr ke anjām se vāqif
is par bhī ham ik rāh-numā dekh rahe haiñ
mahfil meñ faqat ham hī nahīñ ‘tālib’-e-jalva
ab miltī hai kis kis ko sazā dekh rahe haiñ
ahbab ko mail-ba-jafa dekh rahe hain
kya dekhne hum aae the kya dekh rahe hain
allah re masumi-e-arbab-e-tamanna
patthar ke KHudaon mein wafa dekh rahe hain
begana-rawi tum pe hi mauquf nahin hai
hum jism se sae ko juda dekh rahe hain
tabligh jo karte hain zamane mein wafa ki
un ka bhi hum andaz-e-wafa dekh rahe hain
hain pairwi-e-KHizr ke anjam se waqif
is par bhi hum ek rah-numa dekh rahe hain
mahfil mein faqat hum hi nahin ‘talib’-e-jalwa
ab milti hai kis kis ko saza dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.