ahd-e-ghazab hai shor bahut qil-o-qal ka
ahd-e-ġhazab hai shor bahut qīl-o-qāl kā
ye daur hai bahā-e-adab ke zavāl kā
ġhāroñ meñ chhup ke so raho ai sakinān-e-dil
sadiyoñ talak na aa.egā jhoñkā ḳhayāl kā
vīrān apne haath se kī kār-gāh-e-zīst
zarre se ḳhuub kaam liyā hai kamāl kā
aa.e the is zamīn pe jā.eñge ab kahāñ
degā javāb kaun hameñ is savāl kā
ye sa.ī-e-rā.egāñ to na thī apnī justujū
ai zul-jalāl ham ko dikhā ruḳh jamāl kā
baiThe haiñ sau baras se tire intizār meñ
aao bhī ab to fāsla hai ek saal kā
ahd-e-ghazab hai shor bahut qil-o-qal ka
ye daur hai baha-e-adab ke zawal ka
ghaaron mein chhup ke so raho ai sakinan-e-dil
sadiyon talak na aaega jhonka KHayal ka
viran apne hath se ki kar-gah-e-zist
zarre se KHub kaam liya hai kamal ka
aae the is zamin pe jaenge ab kahan
dega jawab kaun hamein is sawal ka
ye sai-e-raegan to na thi apni justuju
ai zul-jalal hum ko dikha ruKH jamal ka
baiThe hain sau baras se tere intizar mein
aao bhi ab to fasla hai ek sal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.