ahd-e-‘ishq mein jaan se jaana paDta hai
ahd-e-‘ishq meñ jaan se jaanā paḌtā hai
itnā to nuqsān uThānā paḌtā hai
'umr guzar jaatī hai tujh tak aane meñ
terī raah meñ ek zamāna paḌtā hai
raushnī mere zimme hai aur raat ga.e
jaltā diyā har roz bujhānā paḌtā hai
ham ko saare hī dukh dekhne hote haiñ
soch-samajh kar ashk bahāna paḌtā hai
kaan ke kuchh kachche haiñ is bastī ke log
is bastī meñ shor machānā paḌtā hai
zindagī kyā hai sāñsoñ kī ik rasm-e-qadīm
sab ko ye dastūr nibhānā paḌtā hai
ahd-e-‘ishq mein jaan se jaana paDta hai
itna to nuqsan uThana paDta hai
'umr guzar jati hai tujh tak aane mein
teri rah mein ek zamana paDta hai
raushni mere zimme hai aur raat gae
jalta diya har roz bujhana paDta hai
hum ko sare hi dukh dekhne hote hain
soch-samajh kar ashk bahana paDta hai
kan ke kuchh kachche hain is basti ke log
is basti mein shor machana paDta hai
zindagi kya hai sanson ki ek rasm-e-qadim
sab ko ye dastur nibhana paDta hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 92)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.