ahd-e-nau tariKH-e-la-mahdud ki baaten karen
ahd-e-nau tārīḳh-e-lā-mahdūd kī bāteñ kareñ
aao baiTheñ lamha-e-maujūd kī bāteñ kareñ
DhūñD kar laa.eñ kahīñ se ham bhī andāz-e-ayāz
qasr-e-sultāñ meñ dil-e-mahmūd kī bāteñ kareñ
aag ThanDī kis tarah ho kis tarah aa.e bahār
gulshan-e-hastī meñ ham bahbūd kī bāteñ kareñ
ātish-e-namrūd sehn-e-gul banā thā aur ham
sehn-e-gul meñ ātish-e-namrūd kī bāteñ kareñ
nafratoñ kī aag shahr-e-dil ko ḳhākistar kare
is se pahle sā.at-e-mas.ūd kī bāteñ kareñ
kaise manzil par pahuñch sakte haiñ bhaTke qāfile
rāhzan jab manzil-e-maqsūd kī bāteñ kareñ
bārgāh-e-rab meñ ho maqbūl har harf-e-duā
sidq-e-dil se ham agar ma.abūd kī bāteñ kareñ
vajd meñ aa.eñ parinde ab bhī aahan mom ho
ham bhī gar āvāz meñ dā.ūd kī bāteñ kareñ
sajda-rezī meñ vahī aa.e maza 'siddīq' phir
jab samīm-e-qalb se masjūd kī bāteñ kareñ
ahd-e-nau tariKH-e-la-mahdud ki baaten karen
aao baiThen lamha-e-maujud ki baaten karen
DhunD kar laen kahin se hum bhi andaz-e-ayaz
qasr-e-sultan mein dil-e-mahmud ki baaten karen
aag ThanDi kis tarah ho kis tarah aae bahaar
gulshan-e-hasti mein hum bahbud ki baaten karen
aatish-e-namrud sehn-e-gul bana tha aur hum
sehn-e-gul mein aatish-e-namrud ki baaten karen
nafraton ki aag shahr-e-dil ko KHakistar kare
is se pahle saat-e-masud ki baaten karen
kaise manzil par pahunch sakte hain bhaTke qafile
rahzan jab manzil-e-maqsud ki baaten karen
bargah-e-rab mein ho maqbul har harf-e-dua
sidq-e-dil se hum agar mabud ki baaten karen
wajd mein aaen parinde ab bhi aahan mom ho
hum bhi gar aawaz mein daud ki baaten karen
sajda-rezi mein wahi aae maza 'siddiq' phir
jab samim-e-qalb se masjud ki baaten karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.