ahd-e-piri mein hue apne jo sab baal safed
ahd-e-piri mein hue apne jo sab baal safed
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
ahd-e-pīrī meñ hue apne jo sab baal safed
ham ye samjhe ki huā nāma-e-a.amāl safed
zīnat us chehra-e-gul-gūñ kī huā ḳhāl-e-siyāh
dāḳhil-e-aib hai gar jism pe ho ḳhaal safed
aa.e kis dhaj se gul-andām mire mātam meñ
tan pe poshāk siyah haath meñ rūmāl safed
shaam se sub.h hamesha huī ai gesū-e-yār
hogā ik roz yahī dām-e-siyah jaal safed
ḳhuuñ bahāte hue kuchh rahm nahīñ aatā hai
jism meñ apne lahū rakhte haiñ qattāl safed
mah-o-ḳhurshīd ne ik din use dekhā thā kahīñ
ek kā zard to hai ek kā ahvāl safed
mudda.ā ye hai mire milne se hai saaf javāb
us ne saada mujhe kāġhaz kiyā irsāl safed
ātish-e-ġham ne ye ai 'sabr' mujhe phūñkā hai
raakh meñ apnī huā ho ke maiñ pāmāl safed
ahd-e-piri mein hue apne jo sab baal safed
hum ye samjhe ki hua nama-e-amal safed
zinat us chehra-e-gul-gun ki hua KHal-e-siyah
daKHil-e-aib hai gar jism pe ho KHal safed
aae kis dhaj se gul-andam mere matam mein
tan pe poshak siyah hath mein rumal safed
sham se subh hamesha hui ai gesu-e-yar
hoga ek roz yahi dam-e-siyah jal safed
KHun bahate hue kuchh rahm nahin aata hai
jism mein apne lahu rakhte hain qattal safed
mah-o-KHurshid ne ek din use dekha tha kahin
ek ka zard to hai ek ka ahwal safed
muddaa ye hai mere milne se hai saf jawab
us ne sada mujhe kaghaz kiya irsal safed
aatish-e-gham ne ye ai 'sabr' mujhe phunka hai
rakh mein apni hua ho ke main pamal safed
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.