ahd-e-rafta ke ujalon ki sada hain hum bhi
ahd-e-rafta ke ujāloñ kī sadā haiñ ham bhī
qartaba terī tarah radd-e-fanā haiñ ham bhī
bād-e-yaḳh-basta chalī hai to chale ḳhuub chale
jalte tapte hue sahrā kī sadā haiñ ham bhī
umr-o-ayyār kī zambīl meñ rakkhā kyā hai
haq kī talvār haiñ hamza kī sadā haiñ ham bhī
sehr kyā chiiz hai bātil kī haqīqat kiyā hai
vaqt ke haath meñ muusā kā asā haiñ ham bhī
kāsa-e-shab meñ ujālā mah-e-naḳhshab kā hai
aur chaḌhte hue sūraj kī ziyā haiñ ham bhī
ahd-e-nau apnī zabānoñ pe sajā le ham ko
apne aslāf kī pākīza duā haiñ ham bhī
'shams' kyā ḳhauf añdheroñ se bhalā ho ham ko
raat vāloñ ke liye sub.h-numā haiñ ham bhī
ahd-e-rafta ke ujalon ki sada hain hum bhi
qartaba teri tarah radd-e-fana hain hum bhi
baad-e-yaKH-basta chali hai to chale KHub chale
jalte tapte hue sahra ki sada hain hum bhi
umr-o-ayyar ki zambil mein rakkha kya hai
haq ki talwar hain hamza ki sada hain hum bhi
sehr kya chiz hai baatil ki haqiqat kiya hai
waqt ke hath mein musa ka asa hain hum bhi
kasa-e-shab mein ujala mah-e-naKHshab ka hai
aur chaDhte hue suraj ki ziya hain hum bhi
ahd-e-nau apni zabanon pe saja le hum ko
apne aslaf ki pakiza dua hain hum bhi
'shams' kya KHauf andheron se bhala ho hum ko
raat walon ke liye subh-numa hain hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.