ahd-e-rafta ki lakiron pe na chalte rahiye
ahd-e-rafta kī lakīroñ pe na chalte rahiye
vaqt ke saath ḳhayālāt badalte rahiye
Thokareñ khā ke bahar-gām sañbhalte rahiye
manzil-e-shauq bhī mil jā.egī chalte rahiye
ġhuncha-o-gul ko ba-sad-shauq masalte rahiye
ehtiyātan kabhī kāñToñ pe bhī chalte rahiye
dost ban ban ke yūñhī zahr ugalte rahiye
āstīnoñ meñ mirī shauq se palte rahiye
qahqahe ban ke mire lab pe na Thahre na sahī
ashk ban kar mirī palkoñ pe machalte rahiye
shabnam o barf kī ThanDak hai na phūloñ kī mahak
ishq ik aag hai is aag meñ jalte rahiye
aap yūñhī nikhat-o-nūr ke chashme ban kar
ġham kī tārīk chaTānoñ se ubalte rahiye
mere gītoñ kā madhur saaz na baniye lekin
soz ban kar mire naġhmāt meñ Dhalte rahiye
'ehtishām' aap ko jiine kī tamanna hai agar
zindagī ke na.e unvān badalte rahiye
ahd-e-rafta ki lakiron pe na chalte rahiye
waqt ke sath KHayalat badalte rahiye
Thokaren kha ke bahar-gam sanbhalte rahiye
manzil-e-shauq bhi mil jaegi chalte rahiye
ghuncha-o-gul ko ba-sad-shauq masalte rahiye
ehtiyatan kabhi kanTon pe bhi chalte rahiye
dost ban ban ke yunhi zahr ugalte rahiye
aastinon mein meri shauq se palte rahiye
qahqahe ban ke mere lab pe na Thahre na sahi
ashk ban kar meri palkon pe machalte rahiye
shabnam o barf ki ThanDak hai na phulon ki mahak
ishq ek aag hai is aag mein jalte rahiye
aap yunhi nikhat-o-nur ke chashme ban kar
gham ki tarik chaTanon se ubalte rahiye
mere giton ka madhur saz na baniye lekin
soz ban kar mere naghmat mein Dhalte rahiye
'ehtisham' aap ko jine ki tamanna hai agar
zindagi ke nae unwan badalte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.