ahd-e-wafa na yaad dilaen to kya karen
ahd-e-vafā na yaad dilā.eñ to kyā kareñ
ham un ko hāl-e-dil na sunā.īñ to kyā kareñ
jin se nahīñ hai aap kī manzil ko vāsta
un rāstoñ se lauT na jaa.eñ to kyā kareñ
vo har taraf haiñ samt kī jab qaid hī nahīñ
dair-o-haram meñ sar na jhukā.eñ to kyā kareñ
mohkam hai rabt-e-ishq to nazdīk-o-dūr kyā
aa.eñ to kyā kareñ vo na aa.eñ to kyā kareñ
maanā ki ham ko tāb-e-nazar hai na shauq-e-dīd
ruḳh se vo ḳhud hī parda uThā.eñ to kyā kareñ
'ashraf' ko thā amal se ziyāda karam pe naaz
kaam aa ga.ī haiñ us kī ḳhatā.eñ to kyā kareñ
ahd-e-wafa na yaad dilaen to kya karen
hum un ko haal-e-dil na sunain to kya karen
jin se nahin hai aap ki manzil ko wasta
un raston se lauT na jaen to kya karen
wo har taraf hain samt ki jab qaid hi nahin
dair-o-haram mein sar na jhukaen to kya karen
mohkam hai rabt-e-ishq to nazdik-o-dur kya
aaen to kya karen wo na aaen to kya karen
mana ki hum ko tab-e-nazar hai na shauq-e-did
ruKH se wo KHud hi parda uThaen to kya karen
'ashraf' ko tha amal se ziyaada karam pe naz
kaam aa gai hain us ki KHataen to kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.