ahd-o-paiman kar ke paimane ke sath
ahd-o-paimāñ kar ke paimāne ke saath
umr guzrī tere maiḳhāne ke saath
zindagī bhī jī churā kar rah ga.ī
kaun martā tere dīvāne ke saath
ye na pūchho rah-navardān-e-haram
kaun chhūTā ham se but-ḳhāne ke saath
ḳhud-baḳhud hal ho ga.e kitne savāl
vaqt ke ḳhāmosh afsāne ke saath
ai faqīh-e-shahr kyā is kā ilaaj
chashm-e-sāqī bhī hai paimāne ke saath
hosh-mandoñ par garāñ haiñ ai 'ravish'
un kī bāteñ tujh se dīvāne ke saath
ahd-o-paiman kar ke paimane ke sath
umr guzri tere maiKHane ke sath
zindagi bhi ji chura kar rah gai
kaun marta tere diwane ke sath
ye na puchho rah-nawardan-e-haram
kaun chhuTa hum se but-KHane ke sath
KHud-baKHud hal ho gae kitne sawal
waqt ke KHamosh afsane ke sath
ai faqih-e-shahr kya is ka ilaj
chashm-e-saqi bhi hai paimane ke sath
hosh-mandon par garan hain ai 'rawish'
un ki baaten tujh se diwane ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.