ahl-e-danish ki nigahon mein hadaf koi nahin
ahl-e-danish ki nigahon mein hadaf koi nahin
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
ahl-e-dānish kī nigāhoñ meñ hadaf koī nahīñ
sar to ab bhī hai magar sang-ba-kaf koī nahīñ
halqa-e-kam-nazarāñ ‘āqibat-andesh na thā
maiñ usī raah gayā jis kī taraf koī nahīñ
dā'vā-e-nām-o-nasab sab kī zabāñ se jaarī
vāqi'a ye hai ki pāband-e-salaf koī nahīñ
ḳhud-nigah-dārī kī pādāsh meñ rusvā hue ham
hāsil is kaam meñ to izz-o-sharaf koī nahīñ
pī bhī letā huuñ jo mā.il-ba-karam ho vo nigāh
varna is ḳhaak ke putle ko shaġhaf koī nahīñ
'anjum' ab ahl-e-zamāna se tavaqqo' kaisī
abr-e-naisāñ ke muqaddar meñ sadaf koī nahīñ
ahl-e-danish ki nigahon mein hadaf koi nahin
sar to ab bhi hai magar sang-ba-kaf koi nahin
halqa-e-kam-nazaran ‘aqibat-andesh na tha
main usi rah gaya jis ki taraf koi nahin
da'wa-e-nam-o-nasab sab ki zaban se jari
waqi'a ye hai ki paband-e-salaf koi nahin
KHud-nigah-dari ki padash mein ruswa hue hum
hasil is kaam mein to izz-o-sharaf koi nahin
pi bhi leta hun jo mail-ba-karam ho wo nigah
warna is KHak ke putle ko shaghaf koi nahin
'anjum' ab ahl-e-zamana se tawaqqo' kaisi
abr-e-naisan ke muqaddar mein sadaf koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.