ahl-e-din ki rawish-e-tang se be-zar hun main
ahl-e-dīñ kī ravish-e-tang se be-zār huuñ maiñ
ye gunah hai to sazā do ki gunahgār huuñ maiñ
ruk nahīñ paatī zabāñ merī misāl-e-suqrāt
kāsa-e-zahr kā duniyā se talabgār huuñ maiñ
irtiqā meñ mire kitne hī dimāġh aa.e kaam
jis kī buniyād saroñ par hai vo mīnār huuñ maiñ
jis se hote haiñ yatīmoñ ke ḳhazāne mahfūz
aaj ik aisī hī girtī huī dīvār huuñ maiñ
sirf rindī hī ko duniyā meñ nahīñ merī talāsh
pārsā.ī ko bhī is bazm meñ darkār huuñ maiñ
jis ke phūloñ ke nasīboñ meñ haiñ gulchīñ ke sitam
dosto sahn meñ aalam ke vo gulzār huuñ maiñ
faash kartā huuñ zamāne meñ riyā ke parde
aur ye bhī hai haqīqat ki riyā-kār huuñ maiñ
zohd par naaz kiyā kartā thā kal tak lekin
aaj ik rind-e-ḳharābāt qadah-ḳhvār huuñ meñ
ahl-e-din ki rawish-e-tang se be-zar hun main
ye gunah hai to saza do ki gunahgar hun main
ruk nahin pati zaban meri misal-e-suqraat
kasa-e-zahr ka duniya se talabgar hun main
irtiqa mein mere kitne hi dimagh aae kaam
jis ki buniyaad saron par hai wo minar hun main
jis se hote hain yatimon ke KHazane mahfuz
aaj ek aisi hi girti hui diwar hun main
sirf rindi hi ko duniya mein nahin meri talash
parsai ko bhi is bazm mein darkar hun main
jis ke phulon ke nasibon mein hain gulchin ke sitam
dosto sahn mein aalam ke wo gulzar hun main
fash karta hun zamane mein riya ke parde
aur ye bhi hai haqiqat ki riya-kar hun main
zohd par naz kiya karta tha kal tak lekin
aaj ek rind-e-KHarabaat qadah-KHwar hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.