ahl-e-dil ilzam hai ye aur bahut sangin hai
ahl-e-dil ilzām hai ye aur bahut sangīn hai
us ko kahte kab sunā vo hijr meñ ġhamgīn hai
zaḳhm-e-dil sar-sabz rakhnā aisā kuchh mushkil nahīñ
aaj bhī in āñsuoñ kā zā.iqa namkīn hai
ho chuke haiñ raakh meñ tabdīl sab jazbe agar
jāñ-ba-haq hone kī ham ko kis liye talqīn hai
kyā taġhāful kā gila us se kiyā jaa.e ki jab
dosto dil jāntā hai vo bhī ik miskīn hai
kyā ufuq par apnā bhī taara kahīñ raushan hai yā
be-sabab hī āsmāñ phir is qadar rangīn hai
ahl-e-dil ilzam hai ye aur bahut sangin hai
us ko kahte kab suna wo hijr mein ghamgin hai
zaKHm-e-dil sar-sabz rakhna aisa kuchh mushkil nahin
aaj bhi in aansuon ka zaiqa namkin hai
ho chuke hain rakh mein tabdil sab jazbe agar
jaan-ba-haq hone ki hum ko kis liye talqin hai
kya taghaful ka gila us se kiya jae ki jab
dosto dil jaanta hai wo bhi ek miskin hai
kya ufuq par apna bhi tara kahin raushan hai ya
be-sabab hi aasman phir is qadar rangin hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 32)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.