ahl-e-dil jis ko fana aur na baqa kahte hain
ahl-e-dil jis ko fana aur na baqa kahte hain
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
ahl-e-dil jis ko fanā aur na baqā kahte haiñ
zinda rahne ke is andāz ko kyā kahte haiñ
zikr us shoḳh se kartā hai koī jab merā
ruḳh pe aa jaatā hai ik rang-e-hayā kahte haiñ
ḳhaak us shaḳhs ne mujh hī ko kiyā sab jis ko
sho.ala-rū shola-nazar sho.ala-navā kahte haiñ
lamha bhar ishq pe apne zarā khul kar hañs leñ
girya-e-hijr hai qismat meñ likhā kahte haiñ
vahī suntā nahīñ fariyād hamārī ai dil
ham jise apnī mohabbat kā ḳhudā kahte haiñ
na rah-o-rasm hai jis se na duā aur na salām
phir bhī ahbāb mujhe us pe fidā kahte haiñ
be-takalluf jo samā jaa.e nigāh-o-dil meñ
ham faqat us ko mohabbat kī adā kahte haiñ
kitne be-dīn haiñ mat pūchh avām-e-mahkūm
har na.e daur ke hākim ko ḳhudā kahte haiñ
ḳhaas apnoñ meñ bhī hote haiñ kuchh aise bad-ḳhvāh
dil se chāheñ jo burā muñh pe bhalā kahte haiñ
dil kī āvāz hai ab ruuh kā nauha ai 'rāz'
jaane kyoñ log mujhe naġhma-sarā kahte haiñ
ahl-e-dil jis ko fana aur na baqa kahte hain
zinda rahne ke is andaz ko kya kahte hain
zikr us shoKH se karta hai koi jab mera
ruKH pe aa jata hai ek rang-e-haya kahte hain
KHak us shaKHs ne mujh hi ko kiya sab jis ko
shoala-ru shola-nazar shoala-nawa kahte hain
lamha bhar ishq pe apne zara khul kar hans len
girya-e-hijr hai qismat mein likha kahte hain
wahi sunta nahin fariyaad hamari ai dil
hum jise apni mohabbat ka KHuda kahte hain
na rah-o-rasm hai jis se na dua aur na salam
phir bhi ahbab mujhe us pe fida kahte hain
be-takalluf jo sama jae nigah-o-dil mein
hum faqat us ko mohabbat ki ada kahte hain
kitne be-din hain mat puchh awam-e-mahkum
har nae daur ke hakim ko KHuda kahte hain
KHas apnon mein bhi hote hain kuchh aise bad-KHwah
dil se chahen jo bura munh pe bhala kahte hain
dil ki aawaz hai ab ruh ka nauha ai 'raaz'
jaane kyon log mujhe naghma-sara kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.