ahl-e-dil kucha-e-asnam tak aa pahunche hain
ahl-e-dil kucha-e-asnam tak aa pahunche hain
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
ahl-e-dil kūcha-e-asnām tak aa pahuñche haiñ
fāsle arsa-e-do-gām tak aa pahuñche haiñ
jo tah-e-ḳhum meñ ho baaqī vahī de de saaqī
bāda-kash durd-e-tah-e-jām tak aa pahuñche haiñ
ho chuke ahl-e-yaqīñ vādī-e-auhām meñ gum
ahl-e-shak manzil-e-ilhām tak aa pahuñche haiñ
jab ḳhudī kā hai ye 'ālam to ḳhudā duur nahīñ
but-shikan mahfil-e-asnām tak aa pahuñche haiñ
phir ga.ī raah se ummīd kī chaḌhtī huī dhuup
yaas ke saa.e dar-o-bām tak aa pahuñche haiñ
shauq gustāḳh hai ab parda-kushā-e-asrār
ḳhaas jalve nigah-e-ām tak aa pahuñche haiñ
merī qismat kā sitārā to na thā itnā buland
kis kī ḳhātir vo lab-e-bām tak aa pahuñche haiñ
ham-nashīnoñ ko mubārak karam-e-ḳhās tirā
ham bhī ab rasm-o-rah-e-'ām tak aa pahuñche haiñ
dekhiye kis ko ye e.azāz-e-ḳhusūsī ho nasīb
lab tire manzil-e-dushnām tak aa pahuñche haiñ
kabhī aisā bhī huā hai ki tire dīvāne
terī dhun meñ tire hamnām tak aa pahuñche haiñ
raah par un ko lagā laayā du'āoñ kā ḳhulūs
sub.h bhaTke the magar shaam tak aa pahuñche haiñ
haa.e vo log jo hoñ lazzat-e-āġhāz meñ gum
vaa.e vo log jo anjām tak aa pahuñche haiñ
merī nazreñ gul-o-gulzār se aage na baḌhīñ
tere jalve sahar-o-shām tak aa pahuñche haiñ
ahl-e-dil kucha-e-asnam tak aa pahunche hain
fasle arsa-e-do-gam tak aa pahunche hain
jo tah-e-KHum mein ho baqi wahi de de saqi
baada-kash durd-e-tah-e-jam tak aa pahunche hain
ho chuke ahl-e-yaqin wadi-e-auham mein gum
ahl-e-shak manzil-e-ilham tak aa pahunche hain
jab KHudi ka hai ye 'alam to KHuda dur nahin
but-shikan mahfil-e-asnam tak aa pahunche hain
phir gai rah se ummid ki chaDhti hui dhup
yas ke sae dar-o-baam tak aa pahunche hain
shauq gustaKH hai ab parda-kusha-e-asrar
KHas jalwe nigah-e-am tak aa pahunche hain
meri qismat ka sitara to na tha itna buland
kis ki KHatir wo lab-e-baam tak aa pahunche hain
ham-nashinon ko mubarak karam-e-KHas tera
hum bhi ab rasm-o-rah-e-'am tak aa pahunche hain
dekhiye kis ko ye eazaz-e-KHususi ho nasib
lab tere manzil-e-dushnam tak aa pahunche hain
kabhi aisa bhi hua hai ki tere diwane
teri dhun mein tere hamnam tak aa pahunche hain
rah par un ko laga laya du'aon ka KHulus
subh bhaTke the magar sham tak aa pahunche hain
hae wo log jo hon lazzat-e-aghaz mein gum
wae wo log jo anjam tak aa pahunche hain
meri nazren gul-o-gulzar se aage na baDhin
tere jalwe sahar-o-sham tak aa pahunche hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.