ahl-e-dil kya karenge tadbiren
ahl-e-dil kyā kareñge tadbīreñ
un ke bas meñ haiñ un kī taqdīreñ
apnī hastī pe ik nigāh to Daal
zulmatoñ meñ nihāñ haiñ tanvīreñ
mere chup rahne par na jā zālim
maiñ ne chup rah ke kī haiñ taqrīreñ
ab to lag jaa.e aag hī dil meñ
dekh leñ zabt-e-ġham kī tāsīreñ
aur kyā hai jahāñ ke parde par
merī nazreñ tumhārī tasvīreñ
kiiñ nahīñ balki ho ga.iiñ 'shāriq'
haiñ kuchh aisī bhī apnī taqsīreñ
ahl-e-dil kya karenge tadbiren
un ke bas mein hain un ki taqdiren
apni hasti pe ek nigah to Dal
zulmaton mein nihan hain tanwiren
mere chup rahne par na ja zalim
main ne chup rah ke ki hain taqriren
ab to lag jae aag hi dil mein
dekh len zabt-e-gham ki tasiren
aur kya hai jahan ke parde par
meri nazren tumhaari taswiren
kin nahin balki ho gain 'shaariq'
hain kuchh aisi bhi apni taqsiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.