ahl-e-dil sada tabiat hain ye kya karte hain
ahl-e-dil saada tabī'at haiñ ye kyā karte haiñ
husn vāloñ se bhī ummīd-e-vafā karte haiñ
kitne ehsān-farāmosh haiñ duniyā vaale
jin pe ehsān karo vo hī daġhā karte haiñ
haa.e afsos ki ye ahl-e-siyāsat afsos
baap ko beTe se pal-bhar meñ judā karte haiñ
aish meñ hote haiñ rangīnī-e-duniyā ke asiir
log mushkil meñ faqat yād-e-ḳhudā karte haiñ
dar-ba-dar hote haiñ tahzīb-o-tamaddun vaale
be-adab shaan se duniyā meñ rahā karte haiñ
tum raho shaad zamāne meñ ba-har-lamha 'ḳhatīb'
ham to bas maut ke aane kī du'ā karte haiñ
ahl-e-dil sada tabi'at hain ye kya karte hain
husn walon se bhi ummid-e-wafa karte hain
kitne ehsan-faramosh hain duniya wale
jin pe ehsan karo wo hi dagha karte hain
hae afsos ki ye ahl-e-siyasat afsos
bap ko beTe se pal-bhar mein juda karte hain
aish mein hote hain rangini-e-duniya ke asir
log mushkil mein faqat yaad-e-KHuda karte hain
dar-ba-dar hote hain tahzib-o-tamaddun wale
be-adab shan se duniya mein raha karte hain
tum raho shad zamane mein ba-har-lamha 'KHatib'
hum to bas maut ke aane ki du'a karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.