ahl-e-dil sahra mein gul ki aarzu karne lage
ahl-e-dil sahrā meñ gul kī aarzū karne lage
ā.inoñ ko pattharoñ ke rū-ba-rū karne lage
oḌh kar apne badan par tajraboñ kī aag ko
hādse ḳhud hādsoñ ko surḳh-rū karne lage
sīm-o-zar kī god meñ paale hue ahl-e-havas
muflisoñ ke saath mil kar raqs-e-hū karne lage
phir se dar aaya hai bāzāroñ meñ sail-e-ehtijāj
ahl-e-ġham apne lahū se phir vuzū karne lage
shahr-e-dānish-ḳhez terī azmatoñ kī ḳhair ho
aadmī phir jangaloñ kī guftugū karne lage
thī vo jis par sāġhar-o-mīnā kī har gardish nisār
us nazar kī aarzū ahl-e-subū karne lage
ahl-e-dil sahra mein gul ki aarzu karne lage
aainon ko pattharon ke ru-ba-ru karne lage
oDh kar apne badan par tajrabon ki aag ko
hadse KHud hadson ko surKH-ru karne lage
sim-o-zar ki god mein pale hue ahl-e-hawas
muflison ke sath mil kar raqs-e-hu karne lage
phir se dar aaya hai bazaron mein sail-e-ehtijaj
ahl-e-gham apne lahu se phir wuzu karne lage
shahr-e-danish-KHez teri azmaton ki KHair ho
aadmi phir jangalon ki guftugu karne lage
thi wo jis par saghar-o-mina ki har gardish nisar
us nazar ki aarzu ahl-e-subu karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.