ahl-e-duniya naya naya hun main
ahl-e-duniyā nayā nayā huuñ maiñ
ma.azarat ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
hai parindoñ se ḳhāmushī darkār
peḌ se baat kar rahā huuñ maiñ
us kī tasvīr hai ghaḌī ke paas
har ghaḌī vaqt dekhtā huuñ maiñ
ḳhud se kartā huuñ mashvara lekin
baat auroñ kī māntā huuñ maiñ
is qadar tīrgī kā qaa.il huuñ
dhuup ko dhuup kah rahā huuñ maiñ
vāqi.a huuñ azal se pahle kā
kun se pahle uThī sadā huuñ maiñ
mujh ko chup-zāt samjhā jaatā hai
is qadar tez chīḳhtā huuñ maiñ
ahl-e-duniya naya naya hun main
mazarat KHwab dekhta hun main
hai parindon se KHamushi darkar
peD se baat kar raha hun main
us ki taswir hai ghaDi ke pas
har ghaDi waqt dekhta hun main
KHud se karta hun mashwara lekin
baat auron ki manta hun main
is qadar tirgi ka qail hun
dhup ko dhup kah raha hun main
waqia hun azal se pahle ka
kun se pahle uThi sada hun main
mujh ko chup-zat samjha jata hai
is qadar tez chiKHta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.