ahl-e-gham aao zara sair-e-gulistan kar len
ahl-e-ġham aao zarā sair-e-gulistāñ kar leñ
gar ḳhizāñ hai to chalo shaġhl-e-bahārāñ kar leñ
phir to har samt añdherā hī añdherā hogā
pau phaTī hai to luTī bazm charāġhāñ kar leñ
dil kī vīrāniyāñ āñkhoñ meñ uḌātī haiñ ġhubār
mil ke ro leñ to kuchh un ko bhī farozāñ kar leñ
qahqahoñ se to ghuTan aur bhī baḌh jā.egī
aao chup rah ke hī is dard kā darmāñ kar leñ
shāyad is tarah bagūloñ kā guzar mumkin ho
apne vīrāne ko kuchh aur bhī vīrāñ kar leñ
ham jo zinda haiñ to sab kahte haiñ kyuuñ zinda haiñ
aao mar kar bhī masīhāoñ ko hairāñ kar leñ
ahl-e-gham aao zara sair-e-gulistan kar len
gar KHizan hai to chalo shaghl-e-bahaaran kar len
phir to har samt andhera hi andhera hoga
pau phaTi hai to luTi bazm charaghan kar len
dil ki viraniyan aankhon mein uDati hain ghubar
mil ke ro len to kuchh un ko bhi farozan kar len
qahqahon se to ghuTan aur bhi baDh jaegi
aao chup rah ke hi is dard ka darman kar len
shayad is tarah bagulon ka guzar mumkin ho
apne virane ko kuchh aur bhi viran kar len
hum jo zinda hain to sab kahte hain kyun zinda hain
aao mar kar bhi masihaon ko hairan kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.