ahl-e-gulshan rahzan ko rahbar kahne lage
ahl-e-gulshan rāhzan ko rāhbar kahne lage
tīrgī itnī baḌhī shab ko sahar kahne lage
ibtidā ye thī dar-o-dīvār se aatā thā ḳhauf
intihā ye hai ki ham sahrā ko ghar kahne lage
tū bhī kah de mujh ko dīvāna ki dīvāna mujhe
ab to tere shahr ke dīvār-o-dar kahne lage
ehtiyāt ai zabt-e-ġham aisā na ho un ke huzūr
ham chhupā.eñ hāl-e-dil aur chashm-e-tar kahne lage
haa.e tauhīn-e-junūñ 'nashtar' ki arbāb-e-junūñ
ḳhushk kāñTe haiñ jinheñ gul-hā-e-tar kahne lage
ahl-e-gulshan rahzan ko rahbar kahne lage
tirgi itni baDhi shab ko sahar kahne lage
ibtida ye thi dar-o-diwar se aata tha KHauf
intiha ye hai ki hum sahra ko ghar kahne lage
tu bhi kah de mujh ko diwana ki diwana mujhe
ab to tere shahr ke diwar-o-dar kahne lage
ehtiyat ai zabt-e-gham aisa na ho un ke huzur
hum chhupaen haal-e-dil aur chashm-e-tar kahne lage
hae tauhin-e-junun 'nashtar' ki arbab-e-junun
KHushk kanTe hain jinhen gul-ha-e-tar kahne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.