ahl-e-haq ke jo taraf-dar nahin ban sakte
ahl-e-haq ke jo taraf-dār nahīñ ban sakte
vo kisī aur ke ġham-ḳhvār nahīñ ban sakte
yuuñ to sab kuchh hai tirī god meñ tahzīb-e-jadīd
mere bachche mirā me'yār nahīñ ban sakte
ham to har ghar meñ haiñ ik pyaar ke bādal kī tarah
ham kisī sehn kī dīvār nahīñ ban sakte
ḳhuun se roz bujhāte haiñ jo nafrat ke charāġh
ai vatan vo tire ġhaddār nahīñ ban sakte
apne ajdād kī 'azmat jo bhulā dete haiñ
vo kabhī sāhib-e-kirdār nahīñ ban sakte
laakh majbūr kare vaqt magar ahl-e-zamīr
kisī zālim ke taraf-dār nahīñ ban sakte
kam na ho talḳhī-e-guftār agar donoñ taraf
sulh ke rāste hamvār nahīñ ban sakte
mere ḳhāke mire afkār churāne vaale
merī 'azmat mirā me'yār nahīñ ban sakte
ham ta'assub kī salīboñ pe bhī sach boleñge
aap kī tarh adākār nahīñ ban sakte
taaj par ḳhatm huī pyaar kī 'azmat 'razmī'
maqbare ab kabhī shahkār nahīñ ban sakte
ahl-e-haq ke jo taraf-dar nahin ban sakte
wo kisi aur ke gham-KHwar nahin ban sakte
yun to sab kuchh hai teri god mein tahzib-e-jadid
mere bachche mera me'yar nahin ban sakte
hum to har ghar mein hain ek pyar ke baadal ki tarah
hum kisi sehn ki diwar nahin ban sakte
KHun se roz bujhate hain jo nafrat ke charagh
ai watan wo tere ghaddar nahin ban sakte
apne ajdad ki 'azmat jo bhula dete hain
wo kabhi sahib-e-kirdar nahin ban sakte
lakh majbur kare waqt magar ahl-e-zamir
kisi zalim ke taraf-dar nahin ban sakte
kam na ho talKHi-e-guftar agar donon taraf
sulh ke raste hamwar nahin ban sakte
mere KHake mere afkar churane wale
meri 'azmat mera me'yar nahin ban sakte
hum ta'assub ki salibon pe bhi sach bolenge
aap ki tarh adakar nahin ban sakte
taj par KHatm hui pyar ki 'azmat 'razmi'
maqbare ab kabhi shahkar nahin ban sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.