ahl-e-jahan harif hamare hue to kya
ahl-e-jahāñ harīf hamāre hue to kyā
ham bhī haiñ aaj vaqt ke maare hue to kyā
mehrāb-o-dar ko phir bhī ujāle nahiñ nasīb
āñgan meñ mere chāñd sitāre hue to kyā
dil jab hamārā ḳhāna-e-vīrān ho gayā
us vaqt puure ḳhvāb hamāre hue to kyā
ab diid kī talab hai na milne kī aarzū
un kī taraf se laakh ishāre hue to kyā
phūloñ meñ dilkashī hai na kaliyoñ pe hai nikhār
rañgīn gulsitāñ ke nazāre hue to kyā
tābindagī nigāh kī jab mar ke rah ga.ī
ab aa.eñ vo naqāb utāre hue to kyā
haarā nahīñ huuñ ab bhī mohabbat kī jang maiñ
rāh-e-vafā meñ mujh ko ḳhasāre hue to kyā
sāhil pe le ke jā.egā 'ḳhālid' tumhārā azm
dariyā ke duur tum se kināre hue to kyā
ahl-e-jahan harif hamare hue to kya
hum bhi hain aaj waqt ke mare hue to kya
mehrab-o-dar ko phir bhi ujale nahin nasib
aangan mein mere chand sitare hue to kya
dil jab hamara KHana-e-viran ho gaya
us waqt pure KHwab hamare hue to kya
ab did ki talab hai na milne ki aarzu
un ki taraf se lakh ishaare hue to kya
phulon mein dilkashi hai na kaliyon pe hai nikhaar
rangin gulsitan ke nazare hue to kya
tabindagi nigah ki jab mar ke rah gai
ab aaen wo naqab utare hue to kya
haara nahin hun ab bhi mohabbat ki jang main
rah-e-wafa mein mujh ko KHasare hue to kya
sahil pe le ke jaega 'KHalid' tumhaara azm
dariya ke dur tum se kinare hue to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.