ahl-e-KHana ki bhi naraazgi ki baaten kar
ahl-e-ḳhāna kī bhī nārāzgī kī bāteñ kar
ḳhud se ḳhud kī kabhī āvārgī kī bāteñ kar
baat ḳhāroñ kī ho andāz meñ talḳhī vājib
phuul shādāb haiñ shā.istagī kī bāteñ kar
be-zabāñ aas liye dekhte haiñ jo tujh ko
un ko de kar zabāñ vābastagī kī bāteñ kar
koī hālāt se majbūr bhī ho saktā hai
aaj hālāt kī nāsāzgī kī bāteñ kar
un kā ġhusse meñ amal Thiik nahīñ thā maanā
ab zarā apnī bhī dīvāngī kī bāteñ kar
ho na mumkin agar imdād-e-ġharībāñ 'aḳhtar'
dil-ḳharāshī nahīñ dil-bastagī kī bāteñ kar
ahl-e-KHana ki bhi naraazgi ki baaten kar
KHud se KHud ki kabhi aawargi ki baaten kar
baat KHaron ki ho andaz mein talKHi wajib
phul shadab hain shaistagi ki baaten kar
be-zaban aas liye dekhte hain jo tujh ko
un ko de kar zaban wabastagi ki baaten kar
koi haalat se majbur bhi ho sakta hai
aaj haalat ki nasazgi ki baaten kar
un ka ghusse mein amal Thik nahin tha mana
ab zara apni bhi diwangi ki baaten kar
ho na mumkin agar imdad-e-ghariban 'aKHtar'
dil-KHarashi nahin dil-bastagi ki baaten kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.