ahl-e-KHirad ko ahl-e-nazar ka pata chala
ahl-e-ḳhirad ko ahl-e-nazar kā pata chalā
nikle to kitne shams-o-qamar kā pata chalā
samjhe the ham ki sahl hai ye jāda-e-hayāt
aage baḌhe to saḳht Dagar kā pata chalā
ab tak mirī nigāh meñ pāyāb thī nadī
jab Dūbne lage to bhañvar kā pata chalā
nikle the ham to shahr thā gunjān duur tak
lauTe to phir kisī ke na ghar kā pata chalā
shohrat hamārī phail ga.ī hai jahān meñ
muddat ke baad apne hunar kā pata chalā
'firdaus' dhuup dhuup chalā zindagī kī raah
us ko na sāya-dār shajar kā pata chalā
ahl-e-KHirad ko ahl-e-nazar ka pata chala
nikle to kitne shams-o-qamar ka pata chala
samjhe the hum ki sahl hai ye jada-e-hayat
aage baDhe to saKHt Dagar ka pata chala
ab tak meri nigah mein payab thi nadi
jab Dubne lage to bhanwar ka pata chala
nikle the hum to shahr tha gunjaan dur tak
lauTe to phir kisi ke na ghar ka pata chala
shohrat hamari phail gai hai jahan mein
muddat ke baad apne hunar ka pata chala
'firdaus' dhup dhup chala zindagi ki rah
us ko na saya-dar shajar ka pata chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.