ahl-e-KHirad ko tarz-e-junun ki talash hai
ahl-e-KHirad ko tarz-e-junun ki talash hai
Kausar Parveen Kausar
MORE BYKausar Parveen Kausar
ahl-e-ḳhirad ko tarz-e-jūn.un kī talāsh hai
ab hai fasāna ḳhatm fusūñ kī talāsh hai
talqīn-e-sabr-o-shukr zabāñ par hai raat din
dil ko magar matā'-e-fuzūñ kī talāsh hai
kyoñ us ke sang-e-dar kā pata DhūñDhtā nahīñ
dīvāne tere sar ko sukūñ kī talāsh hai
masjid meñ tāk-jhāñk hai mandir meñ dauḌ-dhūp
duniyā ko kis ke rāz-e-darūñ kī talāsh hai
maiñ donoñ qatl-gāhoñ se 'kausar' guzar chukī
mujh ko ḳhirad kī hai na junūñ kī talāsh hai
ahl-e-KHirad ko tarz-e-junun ki talash hai
ab hai fasana KHatm fusun ki talash hai
talqin-e-sabr-o-shukr zaban par hai raat din
dil ko magar mata'-e-fuzun ki talash hai
kyon us ke sang-e-dar ka pata DhunDhta nahin
diwane tere sar ko sukun ki talash hai
masjid mein tak-jhank hai mandir mein dauD-dhup
duniya ko kis ke raaz-e-darun ki talash hai
main donon qatl-gahon se 'kausar' guzar chuki
mujh ko KHirad ki hai na junun ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.