Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai

Iftikhar Arif

ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    ahl-e-mohabbat majbūrī baḌhtī jaatī hai

    miTTī se gulāb duurī baḌhtī jaatī hai

    mehrāboñ se mahal-sarā tak Dheroñ-Dher charāġh

    jalte jaate haiñ be-nūrī baḌhtī jaatī hai

    kārobār meñ ab ke ḳhasāra aur tarah hai

    kaam nahīñ baḌhtā mazdūrī baḌhtī jaatī hai

    jaise jaise jism tashaffī paatā jaatā hai

    vaise vaise qalb se duurī baḌhtī jaatī hai

    girya-e-nīm-shabī ne.amat jab se bahāl huī

    har lahza ummīd-e-huzūrī baḌhtī jaatī hai

    ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai

    miTTi se gulab ki duri baDhti jati hai

    mehrabon se mahal-sara tak Dheron-Dher charagh

    jalte jate hain be-nuri baDhti jati hai

    karobar mein ab ke KHasara aur tarah ka hai

    kaam nahin baDhta mazduri baDhti jati hai

    jaise jaise jism tashaffi pata jata hai

    waise waise qalb se duri baDhti jati hai

    girya-e-nim-shabi ki neamat jab se bahaal hui

    har lahza ummid-e-huzuri baDhti jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now