ahl-e-wafa ki jaan the dushwar raste
ahl-e-vafā kī jaan the dushvār rāste
phūloñ kā farsh ban ga.e pur-ḳhār rāste
terī shamīm-e-zulf ke sadqe ki aaj bhī
mahkī huī fazā hai to gul-bār rāste
vīrāniyoñ kā raaj thā sunsān thī fazā
aate hī kis ke ho ga.e bedār rāste
sach hai ki har qadam pe nasheb-o-farāz haiñ
hote nahīñ haiñ ziist ke hamvār rāste
science ke irtiqā kā karishma yahī to hai
amn-o-amāñ ke ho ga.e dushvār rāste
teġh-e-bashar se ḳhūn-e-bashar jin pe hai ravāñ
haTte nahīñ nazar se vo gul-kār rāste
chalte raheñge shauq-e-shahādat meñ sarfarosh
dār-o-rasan ke laakh hoñ dushvār rāste
zauq-e-safar ke saath rahe shauq-e-justujū
hote nahīñ kisī ke bhī ġham-ḳhvār rāste
'maġhmūm’ shauq-e-manzil-e-maqsūd to bajā
manzil kī raah meñ na hoñ dīvār rāste
ahl-e-wafa ki jaan the dushwar raste
phulon ka farsh ban gae pur-KHar raste
teri shamim-e-zulf ke sadqe ki aaj bhi
mahki hui faza hai to gul-bar raste
viraniyon ka raj tha sunsan thi faza
aate hi kis ke ho gae bedar raste
sach hai ki har qadam pe nasheb-o-faraaz hain
hote nahin hain zist ke hamwar raste
science ke irtiqa ka karishma yahi to hai
amn-o-aman ke ho gae dushwar raste
tegh-e-bashar se KHun-e-bashar jin pe hai rawan
haTte nahin nazar se wo gul-kar raste
chalte rahenge shauq-e-shahadat mein sarfarosh
dar-o-rasan ke lakh hon dushwar raste
zauq-e-safar ke sath rahe shauq-e-justuju
hote nahin kisi ke bhi gham-KHwar raste
'maghmum’ shauq-e-manzil-e-maqsud to baja
manzil ki rah mein na hon diwar raste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.