ahl-e-zar ke itab hain kya kya
ahl-e-zar ke itaab haiñ kyā kyā
muflisoñ par 'azāb haiñ kyā kyā
roTī kapḌā makān ilm-o-hunar
zindagī tere ḳhvāb haiñ kyā kyā
bhuuk bekārī jabr lāchārī
ahd-e-nau ke 'azāb haiñ kyā kyā
shahr-dar-shahr kar chaleñ tārāj
shahr-yāroñ ke ḳhvāb haiñ kyā kyā
zindagī yūñhī ḳharch karte rahe
kyā batā.eñ hisāb haiñ kyā kyā
jo nahīñ jānte hunar kyā hai
un ko baḳhshe ḳhitāb haiñ kyā kyā
zarf-e-ahl-e-junūñ se ghabrā kar
aql ke pech-o-tāb haiñ kyā kyā
barq-o-bārāñ junūñ qafas sayyād
fasl-e-gul ke 'azāb haiñ kyā kyā
ik na.e inqilāb kī ḳhātir
dahr meñ pech-o-tāb haiñ kyā kyā
ek duniyā na.ī kareñ taḳhlīq
apnī āñkhoñ meñ ḳhvāb haiñ kyā kyā
ahl-e-zar ke itab hain kya kya
muflison par 'azab hain kya kya
roTi kapDa makan ilm-o-hunar
zindagi tere KHwab hain kya kya
bhuk bekari jabr lachaari
ahd-e-nau ke 'azab hain kya kya
shahr-dar-shahr kar chalen taraj
shahr-yaron ke KHwab hain kya kya
zindagi yunhi KHarch karte rahe
kya bataen hisab hain kya kya
jo nahin jaante hunar kya hai
un ko baKHshe KHitab hain kya kya
zarf-e-ahl-e-junun se ghabra kar
aql ke pech-o-tab hain kya kya
barq-o-baran junun qafas sayyaad
fasl-e-gul ke 'azab hain kya kya
ek nae inqilab ki KHatir
dahr mein pech-o-tab hain kya kya
ek duniya nai karen taKHliq
apni aankhon mein KHwab hain kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.