ahwal mera puchhne aate bhi nahin hain
ahvāl mirā pūchhne aate bhī nahīñ haiñ
kis haal meñ ḳhud haiñ ye batāte bhī nahīñ haiñ
vaise to basāte hī nahīñ dil meñ kisī ko
par jis ko basāyā hai bhulāte bhī nahīñ haiñ
ham milte nahīñ un se ye un ko hai shikāyat
aur ḳhud vo mohabbat se bulāte bhī nahīñ haiñ
chāhe na bulānā to na bulvā.e vo lekin
yuuñ ḳhud se magar duur bhagāte bhī nahīñ haiñ
dil se maiñ kiyā kartā huuñ un logoñ kī izzat
jo nekiyāñ karte haiñ jatāte bhī nahīñ hai
un ko bhī sadā mujh se mohabbat kā hai da.avā
hoñToñ pe mirā naam jo laate bhī nahīñ haiñ
jin taur tarīqoñ ko vafā kahte haiñ ab log
vo taur tarīqe hameñ aate bhī nahīñ haiñ
bas dard ke tanhā.ī ke ashkoñ se sivā ab
āshiq yahāñ kuchh aur to paate bhī nahīñ haiñ
jis tarah ke ahbāb ḳhudā ne diye 'haidar'
aise mire rishte mire naate bhī nahīñ haiñ
ahwal mera puchhne aate bhi nahin hain
kis haal mein KHud hain ye batate bhi nahin hain
waise to basate hi nahin dil mein kisi ko
par jis ko basaya hai bhulate bhi nahin hain
hum milte nahin un se ye un ko hai shikayat
aur KHud wo mohabbat se bulate bhi nahin hain
chahe na bulana to na bulwae wo lekin
yun KHud se magar dur bhagate bhi nahin hain
dil se main kiya karta hun un logon ki izzat
jo nekiyan karte hain jatate bhi nahin hai
un ko bhi sada mujh se mohabbat ka hai dawa
honTon pe mera nam jo late bhi nahin hain
jin taur tariqon ko wafa kahte hain ab log
wo taur tariqe hamein aate bhi nahin hain
bas dard ke tanhai ke ashkon se siwa ab
aashiq yahan kuchh aur to pate bhi nahin hain
jis tarah ke ahbab KHuda ne diye 'haidar'
aise mere rishte mere nate bhi nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.