ai asir-e-ishq tujhko is ka andaza nahin
ai asīr-e-ishq tujh ko is kā andāza nahīñ
ye vo kamra hai ki jis kā koī darvāza nahīñ
ye tirī ma.asūmiyat ye dilbarī ye sādgī
maañg meñ afshāñ nahīñ ruḳhsār par ġhāza nahīñ
ishq meñ kis ko huā hai faiz aisā kaun hai
kaun hai aisā uThāyā jis ne ḳhamyāza nahīñ
kar sakegā vo bhalā kyā mere zaḳhmoñ kā ilaaj
zaḳhm kī gahrā.ī kā bhī jis ko andāza nahīñ
ye tirā bashshāsh chehra ye tarī ḳhanda-labī
vaqt ne 'shahzar' diyā kyā tujh ko ġham taaza nahīñ
ai asir-e-ishq tujh ko is ka andaza nahin
ye wo kamra hai ki jis ka koi darwaza nahin
ye teri masumiyat ye dilbari ye sadgi
mang mein afshan nahin ruKHsar par ghaza nahin
ishq mein kis ko hua hai faiz aisa kaun hai
kaun hai aisa uThaya jis ne KHamyaza nahin
kar sakega wo bhala kya mere zaKHmon ka ilaj
zaKHm ki gahrai ka bhi jis ko andaza nahin
ye tera bashshash chehra ye tari KHanda-labi
waqt ne 'shahzar' diya kya tujh ko gham taza nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.