ai asir-e-yas kasrat ki hai tujhko ehtiyaj
ai asīr-e-yās kasrat kī hai tujh ko ehtiyāj
ḳhūbsūrat auratoñ kā qurb hai terā 'ilāj
kaisī mushkil meñ hai duniyā-dār insāñ kyā kare
ik taraf ḳhvāhish kī shiddat ik taraf hai lok laaj
dosto is haal meñ jiinā paḌegā kab talak
zehn-o-dil par ek muddat se hai māyūsī kā raaj
ham to us ko mānte haiñ jānte haiñ us ko mard
jo ki dushman se bhī le tausīf-o-tahsīñ kā ḳhirāj
'krishn-mohan' hiddat-e-ġham se phuñkā hai tan-badan
aur mere haal par hañstā hai ye zālim samāj
ai asir-e-yas kasrat ki hai tujh ko ehtiyaj
KHubsurat auraton ka qurb hai tera 'ilaj
kaisi mushkil mein hai duniya-dar insan kya kare
ek taraf KHwahish ki shiddat ek taraf hai lok laj
dosto is haal mein jina paDega kab talak
zehn-o-dil par ek muddat se hai mayusi ka raj
hum to us ko mante hain jaante hain us ko mard
jo ki dushman se bhi le tausif-o-tahsin ka KHiraj
'krishn-mohan' hiddat-e-gham se phunka hai tan-badan
aur mere haal par hansta hai ye zalim samaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.