ai baghban ye jabr hai ya iKHtiyar hai
ai bāġhbāñ ye jabr hai yā iḳhtiyār hai
murjhā rahe haiñ phuul chaman meñ bahār hai
shāyad isī kā naam ġham-e-rozgār hai
vo mil ga.e to aur bhī dil be-qarār hai
maiñ sāhab-e-chaman huuñ mujhe e'tibār hai
shām-e-ḳhizāñ ke baad hī sub.h-e-bahār hai
rahbar ne qāfile hī ko majbūr kah diyā
ab vo qadam baḌhā.e jise iḳhtiyār hai
kaliyāñ haiñ zard zard fazā.eñ haiñ sard sard
kuchh log kah rahe haiñ ye fasl-e-bahār hai
yuuñ to na ruk sakegā sitam kā ye silsila
jo kushta-e-sitam hai vahī sharmsār hai
dekhī haiñ maiñ ne baaġh kī vo hālateñ ki ab
mere liye ḳhizāñ kā na honā bahār hai
sābit huā ki raunaq-e-mahfil hai koī aur
mahfil jamī huī hai magar intizār hai
har sāhib-e-junūñ kā gulistāñ pe haq nahīñ
jis kā lahū bahā hai usī kī bahār hai
ai baghban ye jabr hai ya iKHtiyar hai
murjha rahe hain phul chaman mein bahaar hai
shayad isi ka nam gham-e-rozgar hai
wo mil gae to aur bhi dil be-qarar hai
main sahab-e-chaman hun mujhe e'tibar hai
sham-e-KHizan ke baad hi subh-e-bahaar hai
rahbar ne qafile hi ko majbur kah diya
ab wo qadam baDhae jise iKHtiyar hai
kaliyan hain zard zard fazaen hain sard sard
kuchh log kah rahe hain ye fasl-e-bahaar hai
yun to na ruk sakega sitam ka ye silsila
jo kushta-e-sitam hai wahi sharmsar hai
dekhi hain main ne bagh ki wo haalaten ki ab
mere liye KHizan ka na hona bahaar hai
sabit hua ki raunaq-e-mahfil hai koi aur
mahfil jami hui hai magar intizar hai
har sahib-e-junun ka gulistan pe haq nahin
jis ka lahu baha hai usi ki bahaar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.