ai bulbul-e-sahra chamanistan mein aa dekh
ai bulbul-e-sahrā chamanistān meñ aa dekh
kaliyoñ ke na.e Dhab se chaTakne kī adā dekh
fir.aun-sifat hoñToñ pe hārūn-bayānī
aur is pe bhī ḳhāmosh hai muusā kā ḳhudā dekh
phir bai'at-e-kam-zarf mohabbat se hai matlūb
sajne ko hai phir ek na.ī karb-o-balā dekh
ai rabb-e-zuleḳhā-o-ḳhudā-e-abū-yūsuf
ik husn ke maare hue do hijr-zada dekh
maiñ terā parastār huuñ aur tujh se ḳhafā huuñ
uThne ke nahīñ ab se mire dast-e-duā dekh
jis shaam ko barsoñ kī tavajjoh ne sañvārā
us shaam ke pahlū meñ hī kuchh TuuT gayā dekh
dam toḌ rahī lau ke anā-posh muhāfiz
kar degī barahna tujhe ik roz havā dekh
ai bulbul-e-sahra chamanistan mein aa dekh
kaliyon ke nae Dhab se chaTakne ki ada dekh
firaun-sifat honTon pe haarun-bayani
aur is pe bhi KHamosh hai musa ka KHuda dekh
phir bai'at-e-kam-zarf mohabbat se hai matlub
sajne ko hai phir ek nai karb-o-bala dekh
ai rabb-e-zuleKHa-o-KHuda-e-abu-yusuf
ek husn ke mare hue do hijr-zada dekh
main tera parastar hun aur tujh se KHafa hun
uThne ke nahin ab se mere dast-e-dua dekh
jis sham ko barson ki tawajjoh ne sanwara
us sham ke pahlu mein hi kuchh TuT gaya dekh
dam toD rahi lau ke ana-posh muhafiz
kar degi barahna tujhe ek roz hawa dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.