ai Darame-baz shar jaldi nikal
ai Darāme-bāz shar jaldī nikal
ye jagah hai mo'tabar jaldī nikal
ashk hai to dard kī tash.hīr kar
chhoḌ ye vīrān ghar jaldī nikal
shāhzāde āḳhirī mehvar hai ye
haath merā thaam kar jaldī nikal
dostoñ ke paañv dhartī par nahīñ
ai mire hisse ke par jaldī nikal
aa chukā hai ḳhud-kushī kā marhala
maut kī dastak kā Dar jaldī nikal
'shāziya' is ḳhvāb kī āġhosh meñ
ho chukī hai dopahar jaldī nikal
ai Darame-baz shar jaldi nikal
ye jagah hai mo'tabar jaldi nikal
ashk hai to dard ki tashhir kar
chhoD ye viran ghar jaldi nikal
shahzade aaKHiri mehwar hai ye
hath mera tham kar jaldi nikal
doston ke panw dharti par nahin
ai mere hisse ke par jaldi nikal
aa chuka hai KHud-kushi ka marhala
maut ki dastak ka Dar jaldi nikal
'shaziya' is KHwab ki aaghosh mein
ho chuki hai dopahar jaldi nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.