ai dida-e-giryan kya kahiye is pyar-bhare afsane ko
ai dīda-e-giryāñ kyā kahiye is pyār-bhare afsāne ko
ik sham.a jalī bujhne ke liye ik phuul khilā murjhāne ko
maiñ apne pyaar kā diip liye āfāq meñ har-sū ghuum gayā
tum duur kahīñ jā pahuñche the ākāsh pe jī bahlāne ko
vo phuul se lamhe bhārī haiñ ab yaad ke nāzuk shānoñ par
jo pyaar se tum ne sauñpe the āġhāz meñ ik dīvāne ko
ik saath fanā ho jaane se ik jashn to barpā hotā hai
yuuñ tanhā jalnā Thiik nahīñ samjhā.e koī parvāne ko
maiñ raat kā bhed to kholūñgā jab niiñd na mujh ko aa.egī
kyuuñ chāñd sitāre aate haiñ har raat mujhe samjhāne ko
ai dida-e-giryan kya kahiye is pyar-bhare afsane ko
ek shama jali bujhne ke liye ek phul khila murjhane ko
main apne pyar ka dip liye aafaq mein har-su ghum gaya
tum dur kahin ja pahunche the aakash pe ji bahlane ko
wo phul se lamhe bhaari hain ab yaad ke nazuk shanon par
jo pyar se tum ne saunpe the aaghaz mein ek diwane ko
ek sath fana ho jaane se ek jashn to barpa hota hai
yun tanha jalna Thik nahin samjhae koi parwane ko
main raat ka bhed to kholunga jab nind na mujh ko aaegi
kyun chand sitare aate hain har raat mujhe samjhane ko
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.