ai dil-e-nadan mataa-e-kam-nigahi par na ja
ai dil-e-nādāñ matā.a-e-kam-nigāhī par na jā
aur bhī kuchh dekh jismoñ kī adā hī par na jā
dil meñ jo poshīda hai vo hasrat-e-tā'mīr dekh
dekhne vaale mire dil kī tabāhī par na jā
ye to hai merī tabī'at ye to hai merā mizāj
maiñ tirā banda huuñ merī kaj-kulāhī par na jā
merī niyyat ko parakh mere ‘amal ko tū na dekh
mere dāman par hai jo tū us siyāhī par na jā
huuñ sarāpā jurm chehre par jo aatī hai nazar
dāvar-e-mahshar mirī is be-gunāhī par na jā
kal isī zulmat se hī phūTeñgī kirneñ nuur kī
ye jo baḌhtī aa rahī hai is siyāhī par na jā
chaar din kā khel hai ālam-panāhī kā ye khel
chashm-e-bīnā satvat-e-ālam-panāhī par na jā
ai dil-e-nadan mataa-e-kam-nigahi par na ja
aur bhi kuchh dekh jismon ki ada hi par na ja
dil mein jo poshida hai wo hasrat-e-ta'mir dekh
dekhne wale mere dil ki tabahi par na ja
ye to hai meri tabi'at ye to hai mera mizaj
main tera banda hun meri kaj-kulahi par na ja
meri niyyat ko parakh mere ‘amal ko tu na dekh
mere daman par hai jo tu us siyahi par na ja
hun sarapa jurm chehre par jo aati hai nazar
dawar-e-mahshar meri is be-gunahi par na ja
kal isi zulmat se hi phuTengi kirnen nur ki
ye jo baDhti aa rahi hai is siyahi par na ja
chaar din ka khel hai aalam-panahi ka ye khel
chashm-e-bina satwat-e-alam-panahi par na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.