ai dil teri barbaadi ke aasar bahut hain
ai dil tirī barbādī ke āsār bahut haiñ
shahkār ke bahrūp meñ fankār bahut haiñ
nā-vāqif-e-ādāb-e-mohabbat ko sazā kyā
ai husn-e-azal tere ḳhatā-kār bahut haiñ
yādoñ kī bahāreñ bhī haiñ vīrāna-e-dil meñ
is dasht-e-bayābāñ meñ ye gulzār bahut haiñ
ye vaqt kī sāzish hai ki sūraj kī sharārat
saa.e mirī dīvār ke us paar bahut haiñ
dil ḳhud jo nahīñ rakhte haiñ vo lete bhī nahīñ dil
ḳhuddār ziyāda haiñ jo nādār bahut haiñ
jiine ke liye dil meñ jagah chāhiye varna
marnā hai to phir bas dar-o-dīvār bahut haiñ
bas ḳhair kī ho ḳhair duā aao ye māñgeñ
lagtā hai ki ab shar ke taraf-dār bahut haiñ
ḳhud se bhī to milne kī ijāzat nahīñ dete
hastī ke haqā.eq jo pur-asrār bahut haiñ
jiine bhī nahīñ dete haiñ marne bhī na deñge
kuchh mere savālāt jo be-kār bahut haiñ
dīvān pe dīvān bhī kam hote haiñ 'pinhāñ'
ash.ār jo dil chhū leñ vo do chaar bahut haiñ
ai dil teri barbaadi ke aasar bahut hain
shahkar ke bahrup mein fankar bahut hain
na-waqif-e-adab-e-mohabbat ko saza kya
ai husn-e-azal tere KHata-kar bahut hain
yaadon ki bahaaren bhi hain virana-e-dil mein
is dasht-e-bayaban mein ye gulzar bahut hain
ye waqt ki sazish hai ki suraj ki shararat
sae meri diwar ke us par bahut hain
dil KHud jo nahin rakhte hain wo lete bhi nahin dil
KHuddar ziyaada hain jo nadar bahut hain
jine ke liye dil mein jagah chahiye warna
marna hai to phir bas dar-o-diwar bahut hain
bas KHair ki ho KHair dua aao ye mangen
lagta hai ki ab shar ke taraf-dar bahut hain
KHud se bhi to milne ki ijazat nahin dete
hasti ke haqaeq jo pur-asrar bahut hain
jine bhi nahin dete hain marne bhi na denge
kuchh mere sawalat jo be-kar bahut hain
diwan pe diwan bhi kam hote hain 'pinhan'
ashaar jo dil chhu len wo do chaar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.