ai dil ye sai-e-zabt kahin raegan na ho
ai dil ye sa.ī-e-zabt kahīñ rā.egāñ na ho
Dartā huuñ phir vo dushman-e-jāñ mehrbāñ na ho
koī batā.e aisī nazar ko maiñ kyā kahūñ
jo raunaq-e-hayāt ho taskīn-e-jāñ na ho
be-iḳhtiyār jhukne lagī kyoñ jabīn-e-shauq
us dushman-e-vafā kā yahī āstāñ na ho
chheḌā hai maiñ ne qissa-e-mūsā-o-koh-e-tūr
us ko hai vahm ye bhī mirī dāstāñ na ho
hairāñ huuñ kaise chashm-e-tamannā ne kī bayāñ
vo ek kaifiyat jo rahīn-e-bayāñ na ho
maiñ aur us nigāh-e-karam par na jaañ duuñ
ye vahm thā ki vo bhī pa-e-imtihāñ na ho
ḳhvāhish ye hai ki nazr karūñ ye matā-e-dil
phir sochtā huuñ ek nazar kā ziyāñ na ho
hai ik adā-e-husn hijāb-e-nazar-faroz
is parda-e-bahār meñ koī nihāñ na ho
mahrūmiyoñ ne ranj ko rāhat banā diyā
ab talḳhī-e-hayāt bhī shāyad girāñ na ho
ai dil ye sai-e-zabt kahin raegan na ho
Darta hun phir wo dushman-e-jaan mehrban na ho
koi batae aisi nazar ko main kya kahun
jo raunaq-e-hayat ho taskin-e-jaan na ho
be-iKHtiyar jhukne lagi kyon jabin-e-shauq
us dushman-e-wafa ka yahi aastan na ho
chheDa hai main ne qissa-e-musa-o-koh-e-tur
us ko hai wahm ye bhi meri dastan na ho
hairan hun kaise chashm-e-tamanna ne ki bayan
wo ek kaifiyat jo rahin-e-bayan na ho
main aur us nigah-e-karam par na jaan dun
ye wahm tha ki wo bhi pa-e-imtihan na ho
KHwahish ye hai ki nazr karun ye mata-e-dil
phir sochta hun ek nazar ka ziyan na ho
hai ek ada-e-husn hijab-e-nazar-faroz
is parda-e-bahaar mein koi nihan na ho
mahrumiyon ne ranj ko rahat bana diya
ab talKHi-e-hayat bhi shayad giran na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.