ai dila bol kya karen tera
ai dilā bol kyā kareñ terā
hāo-hū kis tarah suneñ terā
jān-o-dil tere naam likh chhoḌe
aur ab bol kyā kareñ terā
ab barā.e lavāzimāt-e-junūñ
hijr darkār hai hameñ terā
dā.era qaid lag rahā hai tujhe
yā'nī ye band toḌ deñ terā
yā'nī ab vo bhī tere saath nahīñ
vo baḌā zo'm thā jinheñ terā
ham se pūchhā kareñge terā log
kyā batā.eñge ham unheñ terā
bas zarā Thahr kaan dhar to zarā
kyā bigāḌeñgī minnateñ terā
ai dila bol kya karen tera
hao-hu kis tarah sunen tera
jaan-o-dil tere nam likh chhoDe
aur ab bol kya karen tera
ab barae lawazimat-e-junun
hijr darkar hai hamein tera
daera qaid lag raha hai tujhe
ya'ni ye band toD den tera
ya'ni ab wo bhi tere sath nahin
wo baDa zo'm tha jinhen tera
hum se puchha karenge tera log
kya bataenge hum unhen tera
bas zara Thahr kan dhar to zara
kya bigaDengi minnaten tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.