ai dost ek ajib sa manzar liye phira
ai dost ik ajiib sā manzar liye phirā
hoñToñ pe tishnagī kā samundar liye phirā
āb-e-hayāt pī na sake tishna-kām log
maiñ shāh-rah pe shīsha-o-sāġhar liye phirā
zahmat na kī samajhne kī ahl-e-dayār ne
apnī matā-e-fikr suḳhan-var liye phirā
terā ḳhayāl terā tasavvur tamām umr
mujh ko dayār-e-ġhair meñ dar dar liye phirā
hai vaqt kis ke paas ab itnā jo paḌh sake
afkār kā maiñ chehre pe daftar liye phirā
shāyad ki koī ek bhī pahchān le mujhe
maiñ apne is vajūd ko ghar ghar liye phirā
ik roz bhī na aaya koī haal pūchhne
maiñ apnā hāl-e-zār barābar liye phirā
lo ahl-e-kosh ho ga.e manzil se ham-kanār
kam-kosh sirf apnā muqaddar liye phirā
'āqib' zamīn tang huī ham pe dekhiye
har shaḳhs mere vāste patthar liye phirā
ai dost ek ajib sa manzar liye phira
honTon pe tishnagi ka samundar liye phira
aab-e-hayat pi na sake tishna-kaam log
main shah-rah pe shisha-o-saghar liye phira
zahmat na ki samajhne ki ahl-e-dayar ne
apni mata-e-fikr suKHan-war liye phira
tera KHayal tera tasawwur tamam umr
mujh ko dayar-e-ghair mein dar dar liye phira
hai waqt kis ke pas ab itna jo paDh sake
afkar ka main chehre pe daftar liye phira
shayad ki koi ek bhi pahchan le mujhe
main apne is wajud ko ghar ghar liye phira
ek roz bhi na aaya koi haal puchhne
main apna haal-e-zar barabar liye phira
lo ahl-e-kosh ho gae manzil se ham-kanar
kam-kosh sirf apna muqaddar liye phira
'aqib' zamin tang hui hum pe dekhiye
har shaKHs mere waste patthar liye phira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.