ai dost jo the teri KHushi ke
ai dost jo the tirī ḳhushī ke
din biit ga.e vo zindagī ke
maiñ karbalā meñ khaḌā huā huuñ
haiñ dukh ke pahāḌ har kisī ke
jangal meñ 'ajīb peḌ dekhe
vo saa.e hoñ jaise aadmī ke
hai duur talak añdherā lekin
āsār haiñ ab bhī raushnī ke
bātoñ se jo phuul jhaḌ rahe haiñ
sab rang haiñ 'ilm-o-āgahī ke
un se bhī 'zahūr' dostī kī
qābil jo nahīñ the dostī ke
ai dost jo the teri KHushi ke
din bit gae wo zindagi ke
main karbala mein khaDa hua hun
hain dukh ke pahaD har kisi ke
jangal mein 'ajib peD dekhe
wo sae hon jaise aadmi ke
hai dur talak andhera lekin
aasar hain ab bhi raushni ke
baaton se jo phul jhaD rahe hain
sab rang hain 'ilm-o-agahi ke
un se bhi 'zahur' dosti ki
qabil jo nahin the dosti ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.