ai dost judai ka ab koi mudawa de
ai dost judā.ī kā ab koī mudāvā de
yā ātish-e-hijrāñ ko kuchh aur bhī bhaḌkā de
ai bahr-e-saḳhā āḳhir kab tak ye ġhalat-baḳhshī
sahrā ko mile qatra aur zarre ko dariyā de
vo ġhuncha-dahan bole kuchh muñh se ki mat bole
ai bād-e-sabā merā paiġhām to pahuñchā de
añgūr kā ras pī kar taskīn nahīñ hotī
tapte hue hoñToñ se taptī huī sahbā de
āġhāz-e-mohabbat kyā tamhīd-e-ḳharābī hai
ai tark-e-jafā-pesha haañ kuchh to ishārā de
nākām-e-tamannā se tū kaam kī bāteñ kar
ai husn-e-bahāna-jū mat kal kā bhulāvā de
ham ishq ke māroñ ke andāz nirāle haiñ
dekho to bahut uljhe samjho to bahut saade
us va.ada-e-fardā kā kyā ḳhaak yaqīñ aa.e
har sub.h shab-e-ġham ko jo aur baḌhāvā de
'naqvī' jise ḳhud apnī nazroñ pe na ho qaabū
gustāḳh-nigāhī kī vo tujh ko sazā kyā de
ai dost judai ka ab koi mudawa de
ya aatish-e-hijran ko kuchh aur bhi bhaDka de
ai bahr-e-saKHa aaKHir kab tak ye ghalat-baKHshi
sahra ko mile qatra aur zarre ko dariya de
wo ghuncha-dahan bole kuchh munh se ki mat bole
ai baad-e-saba mera paigham to pahuncha de
angur ka ras pi kar taskin nahin hoti
tapte hue honTon se tapti hui sahba de
aaghaz-e-mohabbat kya tamhid-e-KHarabi hai
ai tark-e-jafa-pesha han kuchh to ishaara de
nakaam-e-tamanna se tu kaam ki baaten kar
ai husn-e-bahana-ju mat kal ka bhulawa de
hum ishq ke maron ke andaz nirale hain
dekho to bahut uljhe samjho to bahut sade
us wada-e-farda ka kya KHak yaqin aae
har subh shab-e-gham ko jo aur baDhawa de
'naqwi' jise KHud apni nazron pe na ho qabu
gustaKH-nigahi ki wo tujh ko saza kya de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.