ai dost tera qurb to hum pa na sakenge
ai dost tirā qurb to ham pā na sakeñge
kyā naam bhī hoñToñ pe tirā lā na sakeñge
gahrā.ī se dil kī ubhar ā.eñge na.e giit
gaa.e hue gītoñ ko to ham gā na sakeñge
kahtī hai ye hālāt kī bigḌī huī sūrat
hālāt to ma.amūl pe ab aa na sakeñge
har daur meñ Takrā.e haiñ ham ahl-e-sitam se
ye to nahīñ ab zulm se Takrā na sakeñge
ik din hamīñ badleñge nizām-e-chamanistāñ
ye kis ne kahā daur nayā lā na sakeñge
jo ahl-e-farāsat haiñ vo haiñ ahl-e-farāsat
chāloñ meñ siyāsat kī kabhī aa na sakeñge
taqdīs-e-fan-e-sher kī saugand hai 'maġhmūm'
vo phuul khilā.uñgā jo kumhlā na sakeñge
ai dost tera qurb to hum pa na sakenge
kya nam bhi honTon pe tera la na sakenge
gahrai se dil ki ubhar aaenge nae git
gae hue giton ko to hum ga na sakenge
kahti hai ye haalat ki bigDi hui surat
haalat to mamul pe ab aa na sakenge
har daur mein Takrae hain hum ahl-e-sitam se
ye to nahin ab zulm se Takra na sakenge
ek din hamin badlenge nizam-e-chamanistan
ye kis ne kaha daur naya la na sakenge
jo ahl-e-farasat hain wo hain ahl-e-farasat
chaalon mein siyasat ki kabhi aa na sakenge
taqdis-e-fan-e-sher ki saugand hai 'maghmum'
wo phul khilaunga jo kumhla na sakenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.