ai dost tujhse dur rahe ya qarin rahe
ai dost tujh se duur rahe yā qarīñ rahe
qismat thī ye sukūñ se kabhī bhī nahīñ rahe
vo kyoñ rah-e-hayāt meñ andoh-gīñ rahe
jis kī nazar meñ jalva-e-husn-e-yaqīñ rahe
aksar tumhārī bazm se palTe haiñ is tarah
mahsūs ye huā ki jahāñ the vahīñ rahe
hangāma-e-chaman se unheñ kuchh ġharaz nahīñ
dīvāne fasl-e-gul meñ bhī sahrā-nashīñ rahe
dhuñdlī sī ho ga.ī haiñ fazā.eñ hayāt kī
hadd-e-tasavvurāt meñ jab tum nahīñ rahe
me'yār hai vahī to kamāl-e-niyāz kā
is āstāñ pe kyoñ na hamārī jabīñ rahe
ā.īna-e-ḳhulūs meñ dhabbe na mil sake
'ājiz tamām 'umr mire nukta-chīñ rahe
har ik nigāh jis kī ho ḳhud nukta-āfrīñ
phir kyoñ ḳhayāl ḳhair kā vo ḳhosha-chīñ rahe
har talḳhī-e-zamāna thī kaif-āfrīñ mujhe
kam-bīñ the jo fidā-e-mai-o-angbīñ rahe
'ishrat' batā do rāz-e-mohabbat zamāne ko
duniyā meñ kyoñ ye kashmakash-e-kufr-o-dīñ rahe
ai dost tujh se dur rahe ya qarin rahe
qismat thi ye sukun se kabhi bhi nahin rahe
wo kyon rah-e-hayat mein andoh-gin rahe
jis ki nazar mein jalwa-e-husn-e-yaqin rahe
aksar tumhaari bazm se palTe hain is tarah
mahsus ye hua ki jahan the wahin rahe
hangama-e-chaman se unhen kuchh gharaz nahin
diwane fasl-e-gul mein bhi sahra-nashin rahe
dhundli si ho gai hain fazaen hayat ki
hadd-e-tasawwuraat mein jab tum nahin rahe
me'yar hai wahi to kamal-e-niyaz ka
is aastan pe kyon na hamari jabin rahe
aaina-e-KHulus mein dhabbe na mil sake
'ajiz tamam 'umr mere nukta-chin rahe
har ek nigah jis ki ho KHud nukta-afrin
phir kyon KHayal KHair ka wo KHosha-chin rahe
har talKHi-e-zamana thi kaif-afrin mujhe
kam-bin the jo fida-e-mai-o-angbin rahe
'ishrat' bata do raaz-e-mohabbat zamane ko
duniya mein kyon ye kashmakash-e-kufr-o-din rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.