ai duniya walo duniya mein aKHlaq ki pasti lanat hai
ai duniya walo duniya mein aKHlaq ki pasti lanat hai
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
ai duniyā vaalo duniyā meñ aḳhlāq kī pastī lā'nat hai
qur.ān gavāhī detā hai shaitān kī hastī lā'nat hai
ye duniyā āḳhir faanī hai ye daulat ānī-jānī hai
sarmāya-parastoñ se kah do sarmāya-parastī lā'nat hai
mā'lūm nahīñ ye raaz abhī āzādī paane vāloñ ko
āzād vatan ke logoñ meñ ġhaddār kī hastī lā'nat hai
jab hindī sindhī punjabi islām meñ aa kar ek hue
ai firqa-parasto baaz aao phir firqa-parastī lā'nat hai
īmān kī daulat vāloñ kā dil nūr-e-ḳhudā se raushan hai
īmān nahīñ jin meñ un ke chehroñ pe barastī lā'nat hai
jo kaam bhī karnā hai tujh ko be-khaTke kar aur ḳhauf na khā
ai mard-e-mujāhid hosh meñ aa auhām-parastī lā'nat hai
ai ahl-e-zamāna ġhaur karo kal kyā guzrī insānoñ par
kuchh shaitānoñ ne ḳhuun se kī hai chīra-dastī lā'nat hai
paiġhām mirā jā kar koī is daur ke munsif se kah de
insāf ke māthe par dāġh-e-ahbāb-parastī lā'nat hai
ai duniya walo duniya mein aKHlaq ki pasti la'nat hai
quran gawahi deta hai shaitan ki hasti la'nat hai
ye duniya aaKHir fani hai ye daulat aani-jaani hai
sarmaya-paraston se kah do sarmaya-parasti la'nat hai
ma'lum nahin ye raaz abhi aazadi pane walon ko
aazad watan ke logon mein ghaddar ki hasti la'nat hai
jab hindi sindhi punjabi islam mein aa kar ek hue
ai firqa-parasto baz aao phir firqa-parasti la'nat hai
iman ki daulat walon ka dil nur-e-KHuda se raushan hai
iman nahin jin mein un ke chehron pe barasti la'nat hai
jo kaam bhi karna hai tujh ko be-khaTke kar aur KHauf na kha
ai mard-e-mujahid hosh mein aa auham-parasti la'nat hai
ai ahl-e-zamana ghaur karo kal kya guzri insanon par
kuchh shaitanon ne KHun se ki hai chira-dasti la'nat hai
paigham mera ja kar koi is daur ke munsif se kah de
insaf ke mathe par dagh-e-ahbab-parasti la'nat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.