ai falak ujlat na kar bijli girane ke liye
ai falak ujlat na kar bijlī girāne ke liye
chand tinke aur chun luuñ āshiyāne ke liye
zindagī ne paa.ī thiiñ do sā.ateñ roz-e-azal
ek ġham bahne ko aur ik muskurāne ke liye
kyā kare jab ishq hī ko tāb-e-nazzāra na ho
husn ḳhud betāb hai jalva dikhāne ke liye
be-hisī se bhī kahīñ tasḳhīr hotā hai jahāñ
hausla darkār hai duniyā pe chhāne ke liye
kyoñ na ai 'tālib' dar-e-jānāñ pe jhuk jaa.e jabīñ
hai yahī ik āstāñ bigḌī banāne ke liye
ai falak ujlat na kar bijli girane ke liye
chand tinke aur chun lun aashiyane ke liye
zindagi ne pai thin do saaten roz-e-azal
ek gham bahne ko aur ek muskurane ke liye
kya kare jab ishq hi ko tab-e-nazzara na ho
husn KHud betab hai jalwa dikhane ke liye
be-hisi se bhi kahin tasKHir hota hai jahan
hausla darkar hai duniya pe chhane ke liye
kyon na ai 'talib' dar-e-jaanan pe jhuk jae jabin
hai yahi ek aastan bigDi banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.